'google658fd05d77029796.html' Bewafa Tanhai | The Original Poetry





kal tanhai bhi mujhse tauba kar gayi,
cheekhon ke jungle se sauda kar gayi
cheekhon mein apni hi aawaz ko dhundte rahe,
har baar apni hi badkismati ko choomte rahe


aankhir iss haalat mein mujhe kaun le aaya,
waqt pe ungliyaan pheri to kuch yaad aaya

taqdeer ne kuch yun apna rukh moda tha,
mere khwabon ne jeet ki dehleez pe dum toda tha
yun hi nahi pahuncha main iss veerane mein,
kisi kamzor navz ne tanhai ke aalam mein chhoda tha

tab se hi maut ko behla rahe hain,
waade ki tarah har gham nibha rahe hain
pathraayi hain aankhein kab se meri,
bheegi palkon se jhaadu laga rahe hain

par itni bhi ibaadat achchi nahi,
ab jana ke tanhai ki aadat achchi nahi

gusse mein yun to kas gayi baahein meri,
par chaurahon se nikli raahein meri

kehne ko to raahein char thi,
humein pata tha teen mein haar thi
duvidha padi, 
kahan jaun kis or chalun
phir socha,
pehle iss jungle se door chalun

sawaal na jeet ka tha na haar ka,
socha na iss paar ka tha na uss paar ka
mohabbat zindagi se karni thi,
mauka jo aaya tha izhaar ka

raahein jo paayi hain disha dhoond hi lenge,
palkein jo uthaayi hain, nishaa dhoond hi lenge
ummeed se hi roshan saba hoti hai,
kyunki tanhai aksar bewafa hoti hai



Pessimism leads to weakness, optimism leads to power.
                             
                                - William James



Categories:

8 Responses so far.

  1. cheers to the spirit of life.. :)

  2. बहुत खूब ... तन्हाई बेवफा होती है ... पर फिर भी जरूरी होती है ... ओने आप से मिलने के लिए ...
    अच्छी रचना है बहुत ...

  3. cheers .. nicely written :)

  4. jahid says:

    I can't tolerate loneliness!

  5. दुविधा पड़ी कहाँ जाऊं किस ओर चलूँ,
    फ़िर सोचा पहले इस जंगल से दूर चलूँ

    tanhayee ke jungle se jitna jaldi nikal sako wahi achchaa hai ----nice lines enjoyed reading

  6. Beautiful expression. Last line was just perfect but I loved the feelings you portrayed in this line, ' वक़्त पे उँगलियाँ फ़ेरी तो कुछ याद आया!'

    Hindi poetry is always a treat.

  7. taqdeer ne kuch yun apna rukh moda tha,
    mere khwabon ne jeet ki dehleez pe dum toda tha
    yun hi nahi pahuncha main iss veerane mein,
    kisi kamzor navz ne tanhai ke aalam mein chhoda tha
    क्या बात है ! बहुत खूब

Leave a Reply

    Attribution

    Total Pageviews