'google658fd05d77029796.html' Raat ke saaye.. | The Original Poetry




Yahaan Pe Dard Ki Cheekhein Sisakti Hain Kinaaron Pe,
Badi Bekhauf Ho Kar Raat Hansti Hai Ujaalon Pe ..

Main Unn Cheekhon Ki Tanhai Ko Sunta Hu Akele Me,

Ke Aankhein Kho Gayi Hain Khokhli Khaali Daraaron Me ..

Ye Soonepan Se Mujhko Aaj Ek Awaaz Aayi Hai,

Haan Jisne Bujh Gayi Thi Kabse Jo Wo Lau Jalayi Hai ..

Ke Ab Ruk Jao Tufaano Hai Humne Kheench Di Rekha,

Abhi Deewangi Ka Aankhri Manzar Kahan Dekha ..

Zameen Banjar Hai To Hum Gul Khila Denge Hawaaon Me,

Ke Patjhad Me Bhi Hum Patte Ugaa Denge Shilaaon Me ..

Yun Na Samajhna Ki Hum Thak Ke Gir Jaayenge,

Aur Toofano Ke Baad Yahaan Sirf Sukhe Darakht Reh Jayenge ..

Sapno Ki Hatheli Me Asha Ki Mehndi Rachayegi,

Jab Hum Muskura Denge Bahaar Khud-Ba-Khud Aayegi ..



                                                      Hindi Poetry

Categories: ,

Leave a Reply

    Attribution

    Total Pageviews