'google658fd05d77029796.html' Ab Bhi Tujhse Pyar Hai | The Original Poetry







ajeeb si bekarari.
kaisa ye khumaar hai,
teri gali ke us awara ladke ko
ab bhi tujhse pyar hai..

na bhookh hai na pyas hai,
bus wahi talash hai,
zamane gaye juda hue
aaj bhi jaise tu uske paas hai,
kuch na usko yaad hai,
kya hua kya nahin
tere baad waqt sab barbaad hai,
jaha tum chhod gaye 

bus wahi halat hai,
na shauk hai
na koi fikra hai,
baat chahe jo bhi ho
usko to bus tera hi zikr hai,
chain hai na araam hai
kuch na usko kaam hai,
subah hai na shaam hai
har waqt tera naam hai,
bolta hai na chupchap hai
kuch to usme baat hai,
kisi se kehta nahi wo kuch magar
tu ab bhi uske liye khas hai,

fursat mile,
kabhi mil jana,
tu hi use ab samjhana,
shayad us KAL se
is AAJ mein wo laut aaye,
tere hath hi
is zahar ko pee paye,
jaise jeete hain log
jhootha chehra lagakar,
wo bhi shayad
majburiyo ko jee jaye,
main janta hu
mushqil hai magar,
kya karein
ye hi jeevan hai,
aisa hi sangdil sanaar hai,
teri gali ke us awara ladke ko
ab bhi tujhse pyar hai..




               - Sunil Arya (Guest Writer)

3 Responses so far.

  1. sourabh kumar says:

    awsm

Leave a Reply

    Attribution

    Total Pageviews