'google658fd05d77029796.html' Tum | The Original Poetry

Tum



''tum''
madmast adaaon par
solwa saal ho tum
kisi shayar, kisi aashiq ka,
khwab-o-khayal ho tum,
subah subah husn ki angdayi
aur aaftab laal ho tum,
majnu ki kashish
heer ki tamanna
anarkali ka malal ho tum,
khuda ka karishma
husn ka kamaal ho tum,
bhool pana tumhe ab mumkin nahi,
jo zuban pe har waqt rehta hai,
is badnaseeb dil ka,
wo SAWAAL ho tum....





                    - Sunil Arya (Guest Writer)

3 Responses so far.

  1. poetry in its most popular and entertaining form..

  2. Deepak ji!!! aapki saari poems behad achi hai..ki padebina raha nahi jata..or pics to aise jo mano aisa lagta hai hath pakad kar apne tak le jati ho....

  3. thanks dear..

    this one is indeed a beautiful composition by Dr Sunil Arya..

Leave a Reply

    Attribution

    Total Pageviews