'google658fd05d77029796.html' Siskiyaan | The Original Poetry






boodha marta to hai, jhurriyaan nahi jati,
aankh sookhti hai magar siskiyaan nahi jati..

tum jo aakar laut bhi gaye to kya,
milte to hum hain magar dooriyaan nahi jati..

usko ho aitraaz, aake khud takreer kare,
phool to bewafa hain, khushamad ko phulwariyaan nahi jati..

kisi saturday tum bulao, aur bhool bhi jao,
itni bhi khali humari chhuttiyaan nahi jati..

us zarre ki bhi apni gazab khuddari hai,
dariya samandar mein girta hai, magar machchliya nahi jati..

us maa ki kokh me bhi, koi dua pal rahi kafir,
zameer tera jata hai us qatl mein, ladkiyaan nahi jati..

ajeeb riwaaz hai apni is badnaseebi mein,
hukumatein badalti hain, magar kursiyaan nahi jati..

kuch aisi tehzeeb hai gaon ki mitti mein mere,
bagair dupatte ghar se bahar, aaj bhi betiyaan nahi jati..

allah koi jake bataye un badhawason ko,
haadse guzar gaye mere aangan se kabhi kilkariyan nahin jati..





                   - Sunil Arya (Guest Writer)







Also Read..
Baatein
Sadiyaan Hue Mara Nahi Abhi




3 Responses so far.

  1. Superb, poignant, intense..

    expertly piece of writing.. something you read and feel fulfilled..

    loved it..

  2. Unknown says:

    wahh wah boss chha gayyyyyyyyyyyyyy

  3. Anonymous says:

    thnk
    u both for apreciating......

Leave a Reply

    Attribution

    Total Pageviews