'google658fd05d77029796.html' Joshiley | The Original Poetry






raat din chala hai tu,
thak kar nahi ruka hai tu,,
paurush ye tera keh raha hai,
ab loh bana hai tu

gantavya tera dhundla sa dikh raha
ab jhuk nahi,
veerta ka apne lahu se
 itihaas likh raha hai tu

megh ab garaj rahe,
ghaav tere bhar rahe,
jeet ki khushi mein dekh,
phool kaise khil rahe

bheege nayan ye bolte hain
ki bahut saha hai tu,
naman ek veer jo hosla buland kar
 phir badh chala hai tu



             - Manvendra Rana (Guest Writer)



Also Read..


2 Responses so far.

  1. A tribute to our soldiers?

  2. Manvendra Rana says:

    Rightly linked to our soldiers in the wake of recent barbarous incident across LOC. Un joshiley veer jawano ko mera naman.

Leave a Reply

    Attribution

    Total Pageviews