'google658fd05d77029796.html' Bhrashtachaar | The Original Poetry



nashe nashe me gajab ho gaya..
netaji ki udd gayi khilli..
jaam samjh ke gata gat usne..
jab sachai ki ghunti peeli..

bole...
khaya hoga tumne sab kuch..
humne khaya hai naya achaar..
tej masala gazab swaad hai..
naam hai uska bhrashtachaar..

sona chandi loot liya sab,
nayi kharidi humne car..
thaath hain apni rajshaahi,
janta ghoome bhale laachaar..

kitta bhi hum kharch karein par,
bhara pada hai maal apaar..
do roti ko janta tarse,
bhookhe naino se chale angaar..

bada bhayanak rog hai baba,
nahi koi iska upchaar....
kuch bhi neta ko na bhye,
jab se chakha hai bhrast-achaar..

har neta jo pee le ghunti,
fir dekho tum hahakaar..
tez masale se jab jalegi neta ki,
chhoot jyega bhrashta chaar..
chhoot jyega bhrashta chaar..


             - Vivek Tiwari (Visit him)

Categories:

4 Responses so far.

  1. Nice satire on corruption.

  2. Unknown says:

    thanks @ deepak kripal @ sunil arya

  3. Lekin kab chootega bhrashtachaar,
    Yeh mera India,hai beemar.

  4. Unknown says:

    @ indu ....sahi baat hai ..akhir kab.. ?

Leave a Reply

    Attribution

    Total Pageviews