'google658fd05d77029796.html' Dua Karna | The Original Poetry





meri aankhon se jo mohabbat nikalti hai
dil ki galiyon se hoke jaan-e-bahaar tak pahunche
meri saanson mein chingaari lagaane waalo,
dua karna ke ye aag aatish-e-taar tak pahunche

habeeb ki berahmi ne hi loota dil mera
haadson ki aad mein chhoota qaatil mera
meri sunwaayi ki adaalat me jumbish lagaane walo
dua karna ke meri khaak us adaakaar tak pahunche

pardaa nasheen ke deedar se hum darte rahe
phir bhi bebaak uske har vaar pe marte rahe
meri mohabbat ko sauda batane walo
dua karna ke ye ilzaam ishq ke bazaar tak pahuche

meri betaabi ko har soon usne bharam kaha
sayyaad ke fareb ko phir bhi humne sharam kaha
mere junoon ko hi mera jurm bataane walo
dua karna ke mera dil uske hathiyaar tak pahuche

meri dilnawazee ko buzdilee na bata dena
jo khanjar bhi bhejo to use seene ka pata dena
mere lahoo ki keemat lagane waalo
dua karna ke ek boond mere yaar tak pahunche

mana meri muflisi me tere mehlon ki raunak nahi
par meri aarzoo tere khwabon ki daulat nahi
meri muflisi pe sharmsaar hone waalo
dua karna ke meri sookhi roti kisi begaar tak pahuche

meri murawwat ko meri kamzori ka naam na dena
khuda kasam ehsaan faramoshi ki ek aur shaam na dena
meri badnaami ka sangeet sunane waalo
dua karna ke ye kalaam pawardigaar tak pahuche

mohabbat pe marne wale ko ishq ka paigam kya doge
jo khud baaghbaan ho tum use gulistaan kya doge
mere marne pe phoolon ki baarish me nahane waalo
dua karna ke uska ek phool kabhi shamshaan tak pahuche




Categories:

35 Responses so far.

  1. Time to go a little spiritual.. :)

  2. Please don't complain that I don't write hindi poems in devnagiri script. I am an author at ezine articles and they don't accept articles from blogs written in any other script other than english. So I have to write hindi poems in english script. I hope you will understand. Enjoy the poem.

  3. Unknown says:

    Deepak your Devnagiri script poems are as wonderful as your other articles...great job....good going...keep it up...!!!

  4. Anonymous says:

    bahut khoob....

  5. Manvendra Rana says:

    Deepak bhaiya looking at ur acme in poetry, sach batao apne kisi poetry school se training li hai kya!?! WOW.

  6. dua karna ke ye kalaam pawardigaar tak pahuche, very beautifully scripted poem. Hats off Deepak!

  7. hum aapke liye duaa karenge..par itni saari duaaein!
    Well written..

  8. Apne hi Qatil ke sadke mein Jann hai

    Meri muhabbat ka yahi imtehaan hai

    Aag lgaane walon se barsih ki umeed

    Meri naadaniyon ki ye intehaa hai.

    beautiful, Deepak!

  9. Thank you Bushra for reading through and for joining the blog.. You are a cherished member now. See you again dear.

    Hey Anjan. Good to see you after such long time. I am glad you like my hindi verses. See you again dear.

  10. Thank you sunil boss for visiting. I am glad you like it

  11. Hello Manvendra. Life is poetry school brother. The key is not to overrate yourself and keep improving. That's what i try to do. I am really happy that you like what i write. See you around dear.

  12. Hello Fayaz ji. Thank you so much for visiting. I am so glad that you enjoyed it. It is always good to see you here.

  13. Thank you Vishal and Homemaker's utopia. I am really thankful to you for stopping by reading the poem. Keep coming.. :)

  14. hello bemoneyaware. thank you so much for your prayers. :)
    mahaul banega to saari kar lena. :)
    see you around dear.

  15. Hi Meenakshi.. Wah kya baat kahi hai. Sau aane sach..
    Thank you friend for reading through and having your wonderful thoughts here.
    You are always a cherished visitor here. See you around. :)

  16. provoqd says:

    Hi Deepak,

    Waah, dil khush kar diya itni achi kavita se. Loved it.
    Wo kehte hai na, dard mein, nikle dilon se, duaa.

    Keep up the good work :)

    Regards

    Jay
    My Blog | My Entry to Indiblogger Get Published

  17. Hello Jay. Thanks dear for reading the poem. I am glad that you loved it. Dua dard mein marham hoti hai dost. Thanks again for stopping by. See you again dear..

  18. sahe says:

    Itna na sar pe chadao
    ItNA NA mohabbat jatao

    Aap to shayar ho...
    Hum kya kare batlao..

    Lafzon se tasveer banana hume bhi sikhao..

    Hey deepak. A possible reply for your poem? But you are THE POET of course..

  19. Hello Sahe, thats the most interesting comment i have come across. Apka andaaz shayarana hai, aur shayar aap humein kehte hain.

    I really loved it. Iss baat pe jugal bandi to banti hai..



    Itna na sar pe chadao
    ItNA NA mohabbat jatao

    Aap to shayar ho...
    Hum kya kare batlao..

    Lafzon se tasveer banana hume bhi sikhao..



    chadhaana sar pe tha, hum dil mein bitha baithe..
    jatana to aetraaz tha, aetbaar jata baithe..
    tere aaghosh me kya aaye qaatil,
    banne kuch aaye they, khud ko shayar bana baithe..

    sanam ka bankpan to dekho,
    baat tasveer ki karte hain,
    aur ilzaam lafzon ko de baithey..

    shayari ki aad mein,
    wo humein musawwir (painter) bata baithe..

    adna se fakeer ko wo peer bana baithey..
    chalte to hum aaj bhi gir gir ke hain,
    ik wo hi hain jo humein jahangir bana baithe..





  20. odyzz says:

    meri mohabbat ko meri majboori ka naam ne dena
    shamaa bujhaane walo ko parwaane ka mukaam ne dena
    mere dard ki dehri par jashn manaane walon
    dua karna meri rooh ki awaaz ik talabgaar tak pahunche...

    bahut khoob likhte hain aap, Deepak..

  21. Wah Odyzz..
    you have captured the very soul of my poem in your lines that is fantastic indeed. If I add these lines to the poem in this poem nobody will ever know that they are contributed by a different writer. That's how well you have captured the essence of it. Hats off to you my gemini friend. :)

  22. This reminds of a hindi movie, can't recall which one. Beautiful poem and glad I read it in the morning. Poetic start for the day!

  23. sahe says:

    Jaise Mughal Badshaho k nasal Main Jahangir...
    Kahin Ghalib ki nasal main se to nahi aap ?

    Hum to nachiz se sher bus yuhin likh dete hain..
    Aap to shayri main ho hamare baap ! :)

  24. haha.. Sahe.. you are too good.. i am speechless..

    you are the undisputed winner of this tukbandi round.. :)

  25. Hello SARU.. Great to see you here..

    I am glad I could add some poetic flavors to your morning..
    Movie yaad aayagi to batana..

    vaise zarranawazi ke liye shukriya.. :)

  26. odyzz says:

    Hey Deepak,Now you are being too modest...um humbled...Pleasure to write few lines was all mine..

  27. sahe says:

    Thank you kind sir. Since you have accepted the gauntlet, here's one more for u....

    Andaazey bayan ko dil se laga liya
    Kya gazab kiya !
    Aap to shayar they,Jaanbaaz they..
    Dhokey ko haquiqat bana liya ?!

    Such samajh kar fareb ko apna diya!

  28. Hey Sahe.. this is for you..

    andaz-e-bayan ko thukrate kaise.
    khubsurti ko uski jhuthlaate kaise.
    apna na paye use jo apna tha,
    ye soch ke hum jee paate kaise..

    :)

    it was an absolute pleasure having you here.

  29. Thank you odyzz for your kind words. I always cherish your presence in this space. :)

  30. sahe says:

    Kaha na shaayar ho.
    Maahir ho apne phun main..
    Ek adna si kali sher ki, ki thi aap ko arpan..

    Phool ban kar mahek uthi pahunchtey hi aap k gulshan..

    Ur calibre undisputed deepak sahab.. Was a pleasure communicating.

  31. behad khubsurat kavita hai....
    waise mere dimag me itni poems nahi aati apke dimag me kaise aati hai,
    life ke busy schedule me in khubsurat palon ko sanjone ke liye waqt kahan hai...

  32. thank you dear, for reading thru. I am glad you loved it dear. busy life me sukun ke liye kavita kehna zaruri hai dost.. :)

Leave a Reply

    Attribution

    Total Pageviews