fanaa ab teri yaad mein ye zindagani hai,
subah shaam hoton par teri hi kahani hai
loot liya mera sab kuch tere naino ne,
meri har dhadkan mujhse hi begaani hai
ke mera dil bhi bada begaana nikla,
tere seene mein dhadkne ki usni thaani hai
ishq-e-bawandar badal kar rakh deta hai har manzar,
aaj maine ye baat pehchaani hai
dhoond raha hu tujhko har mod par,
rakh raha hoon teri yaadein jod jod kar
shayad ise hi ishq kehte hain,
ye baat aaj maine jaani hai
ab to saanse chal rahi hain tujhe paane ko
so raha hoon tere khwaab sanjone ko
kyunki palko ko jo aksar bhigota hai,
bas tere naam ka hi paani hai
pooj raha hoon tujhe khuda maan kar
pagal ho raha hoon tere liye jaan kar
kehte hain ishq mein padkar pagal ho jata hai mann,
aaj maine ye baat maani hai
By Sourabh Kumar
Categories:
Hindi Poetry
v v v v v nice one dear