ho na ho kuch to hua hoga,
yun hi nahi tera khayal aaya hoga
koi mere yaar se poochhe,
shayad usne deepak hi jalaya hoga
yun hi nahi tera khayal aaya hoga
koi mere yaar se poochhe,
shayad usne deepak hi jalaya hoga
kahani maine likhi nahi,
par dil ke sabse kareeb hai
logon ne kabhi suni nahi,
meri khamoshi bhi ajeeb hai
par dil ke sabse kareeb hai
logon ne kabhi suni nahi,
meri khamoshi bhi ajeeb hai
na raja tha,
na rani thi
baste mein bachpan,
chaukhat pe jaani thi
main aur mera yaar,
itni si kahani thi
na rani thi
baste mein bachpan,
chaukhat pe jaani thi
main aur mera yaar,
itni si kahani thi
jo dil se use maana,
sohbat yaar ki mili
logon ne nahi jana,
aur tohmat pyar ki mili
darr logon ka nahi,
parwah use khone ki thi
maujon se jaa takraya jo,
uss ret ke gharaunde ki thi
parwah use khone ki thi
maujon se jaa takraya jo,
uss ret ke gharaunde ki thi
samandar loot gaya,
gharaunda mera toot gaya
nazuk tha maati sa,
jhonke se phoot gaya
gharaunda mera toot gaya
nazuk tha maati sa,
jhonke se phoot gaya
mukaddar ki saazish thi,
use rok bhi paate kaise
khwahishon ki laash pe,
par hum muskurate kaise
dil ke bikhre panno ko,
shayad hum sanjo bhi lete
jo bheed na hoti itni,
shayad hum ro bhi lete
use rok bhi paate kaise
khwahishon ki laash pe,
par hum muskurate kaise
dil ke bikhre panno ko,
shayad hum sanjo bhi lete
jo bheed na hoti itni,
shayad hum ro bhi lete
laachar kalam ko,
syahi mein dubote kaise
besudh tha kaagaz,
use ashqon mein dhote kaise
uss manzar se yun to,
saham hum ab bhi jaate hain
par aankhein jab band karte hain,
gharaunda dil mein paate hain
waqt ki ret pe aksar,
lehar aati hai,
lehar jaati hai
tu kal bhi mera saathi tha,
tu ab bhi mera saathi hai
True friends, are forever...
Categories:
Hindi Poetry
a tribute to true friendship...
Excellent composition Deepak Sir !
Really nice, mazaa aa gaya! Dosti jaisa khoobsurat rishta duniya mey aur koi nahi hai.
Beautiful!
ap bhot acha likhte hain...khub acha..sukun sa feel hone lagta hain..esa lagta hain..dil me jo kasak uthi thi..in shabdo ne un par barish kar di ho..
Very touching sentiments Deepak.
अनेक भाव उभर आते हैं इस रचना को अध्ने के बाद ...
बहुत बहुत खूबसूरत। सच्चे जज़्बातों से भरी बेहतरीन रचना.... मुझे बहुत पसंद आई। :)
I have only working proficiency in hindi, so, I could only understand that the poem is filled with deep emotion. I hope to understand Hindi better in future reading your poems :)
Wonderfully written :)
Wonderfully written :)
बहुत सुन्दर शब्द ! मेरी अंग्रेजी कमजोर है इस्लिये आपके इंग्लिश ब्लोग नही पद पाया !
This was spellbounding!