'google658fd05d77029796.html' Saki... | The Original Poetry



Gam Se Kuch Yun Bhaage Ke Maikhane Me Jaake Hi Aaraam Aaya ..
Iss Se Pehle Ke Sambhal Paate Ek Saaki Aur Ek Jaam Aaya ..

Nasha Na Mai Me Tha Na Maikhane Me..
Mera Dard Hi Fir Aaj Mere Kaam Aaya ..

Ladkhadaye Kuch Iss Tarah Ki Hum Chal Na Sake ..
Kambakht Hoton Pe Fir Bhi Uska Naam Aaya ..

Wo Kuch Aisa Gaya Dur Mujhse ..
Na Hi Chithhi Na Koi Paigaam Aaya ..

Pyar Ki Wo Sazaa Paayi Ke Jee Na Paye ..
Maikhane Me Jake Bhi Hum Pee Na Paye ..

Kuch Yun Pila De Saki Ke Dard Kuch Tham Jaye ..
Mera Dil Se Behta Khoon Khuch Der Ke Liye Jam Jaye ..

Tab Main Kahunga Ke Maine Tere Intezaam Dekhe Hain ..
Jo Nasha Chadhaa Dein Wo Jaam Dekhein Hain ..

Khanjar To Wo Hai Jo Seena Cheer De ..
Baki Hathiyar To Humne Bhi Tamaam Dekhe Hain ..


                                    Hindi Poetry



Categories:

2 Responses so far.

  1. Anonymous says:

    wah wah....
    apne SAKI ke naam

Leave a Reply

    Attribution

    Total Pageviews