Showing posts with label Sad. Show all posts
Showing posts with label Sad. Show all posts
Posted on
Thursday, 21 June 2018
Read More
Posted on
Friday, 27 October 2017
Read More
इश्क़ की रिवायत कुछ यूँ निभा बैठे
हम उसके उन्स में दामन जला बैठे
भर के अश्क़ जब मांगी मेरे यार ने रज़ा,
हम उसी को भूल जाने की क़सम खा बैठे
कि क़ुरबतों की कब्र भर के आया था
वो क़यामत का सफर कर के आया था
कश्ती यूँ गुज़री कुछ गर्दिश के मोड़ से,
बेअदब हर भंवर पे मर के आया था
शबनम की कोख पर आशियाने नहीं बनते
ख़ंजर की नोक पर मैख़ाने नहीं बनते
होता यूँ इल्म जो अंजाम-ए-इश्क़ का,
दुष्वार-ए-दौर में दीवाने नहीं बनते
नासाज़ सी नज़्म से नग़मा चुराएं क्या
बेज़ार सी बज़्म से बाज़ी लगाएं क्या
लाख लहज़ों में लिख भी लें अल्फ़ाज़ मग़र,
जनाज़ा-ए-वक्त को जुमला थमाएं क्या
न जाने किस कैफ़ियत, किस हालात में होगा
शायद वो भी मेरी फ़िक्र में, फ़िराक में होगा
दफ़्न सीने में कर के दूर मुझसे निकला था,
जल रहा अब भी उसी इश्क़-ए-तब-ओ-ताब में होगा
उसके मसले मेरे मसलों से मुख़्तलिफ़ रहे होंगे
न जाने कितने रंज-ओ-ग़म उसने तकिये से कहे होंगे
हमें ग़म है तो बस उसकी पथराई आँख का,
वो पत्थर टूट कर हर बार उसके रुख़सार पर पड़े होंगे
जो मयस्सर न हुई, उस नादानी का क्या करें
वो ज़िक्र भी नहीं करता, हम क़ुर्बानी का क्या करें
कोई सनम की ख़ैरियत की ख़बर ही दे दे,
हम बे-फ़ज़ूल की बदनामी का क्या करें
बुझे दीपक को ही नूर-ए-आफ़ताब कह देंगे
कोरे कागज़ को हम किस्मत की किताब कह देंगे
तो क्या हुआ जो आइना हमसे रूठ गया,
हम टूटे कांच को भी पूनम का चाँद कह देंगे
मेरे फ़लक पे फ़ानूस बन के छाया तो कर
ख़यालात-ए-फर्श पर यूँ ही कभी आया तो कर
मुद्दत हुई तेरी मशरूफ़ियत को मशहूर हुए,
ख्वाबों में ही सही, महज़ दो पल कभी ज़ाया तो कर
ख़ुश्क लब तिशनगी पर आमादा तो हैं
दूर रहने का ही सही, मग़र वादा तो है
उधेड़-बुन में यूँ ही कभी ये बात उठी,
इश्क़ पूरा न सही, इश्क़ आधा तो है
The course of true love never did run smooth.
- William Shakespeare
ishq ki riwaayat kuch yun nibhaa baithe
hum uske uns mein daaman jala baithe
bhar ke ashq jab maangi mere yar ne razaa,
hum usi ko bhul jane ki kasam kha baithe
ki qurbaton ki kabra bhar ke aaya tha
wo qayamat ka safar kar ke aaya tha
kashti yun guzri kuch gardish ke mod se,
be-adab har bhanwar pe mar ke aaya tha
shabnam ki kokh par ashiyane nahi bante
khanjar ki nok par maikhaane nahi bante
hota yun ilm jo anjaam-e-ishq ka,
dushwar-e-daur mein deewane na bante
naasaaz si nazm se naghma churayein kya
bezaar si bazm se baazi lagayein kya
lakh lehzon mein likh bhi lein alfaaz magar,
janaaza-e-waqt ko jumlah thamayein kya
na jane kis kaifiyat, kis halaat me hoga
shayad wo bhi meri fikra me, firaaq me hoga
dafn seene me karke door mujhse nikla tha,
jal raha ab bhi usi ishq-e-tab-o-taab me hoga
uske masle mere maslon se mukhtalif rahe honge
na jane kitne ranj-o-gham usne takiye se kahe honge
humein gham hai to bus uski pathrayi aankh ka,
wo patthar toot kar har baar uske rukhsar par pade honge
jo mayassar na hui, uss naadani ka kya karein
wo zikra bhi nahi karta, hum qurbaani ka kya karein
koi sanam ki khairiyat ki khabar hi de de,
hum be-fazool ki badnami ka kya karein
bujhe deepak ko hi noor-e-aftab keh denge
kore kaagaz ko hum kismat ki kitab keh denge
to kya hua jo aaina humse rooth gaya,
hum toote kaanch ko bhi poonam ka chand keh denge
mere falaq pe fanoos ban ke chhaya to kar
khayalat-e-farsh par yun hi kabhi aaya to kar
muddat hui teri mashroofiyat ko mashhoor hue,
khwabon me hi sahi, mehez do pal kabhi zaaya to kar
khushq labb tishnagi par aamada to hain
door rehne ka hi sahi, magar waada to hai
udhed-bun me yun hi kabhi ye baat uthi,
ishq poora na sahi, ishq aadha to hai
A poem by Deepak Kripal
hum uske uns mein daaman jala baithe
bhar ke ashq jab maangi mere yar ne razaa,
hum usi ko bhul jane ki kasam kha baithe
ki qurbaton ki kabra bhar ke aaya tha
wo qayamat ka safar kar ke aaya tha
kashti yun guzri kuch gardish ke mod se,
be-adab har bhanwar pe mar ke aaya tha
shabnam ki kokh par ashiyane nahi bante
khanjar ki nok par maikhaane nahi bante
hota yun ilm jo anjaam-e-ishq ka,
dushwar-e-daur mein deewane na bante
naasaaz si nazm se naghma churayein kya
bezaar si bazm se baazi lagayein kya
lakh lehzon mein likh bhi lein alfaaz magar,
janaaza-e-waqt ko jumlah thamayein kya
na jane kis kaifiyat, kis halaat me hoga
shayad wo bhi meri fikra me, firaaq me hoga
dafn seene me karke door mujhse nikla tha,
jal raha ab bhi usi ishq-e-tab-o-taab me hoga
uske masle mere maslon se mukhtalif rahe honge
na jane kitne ranj-o-gham usne takiye se kahe honge
humein gham hai to bus uski pathrayi aankh ka,
wo patthar toot kar har baar uske rukhsar par pade honge
jo mayassar na hui, uss naadani ka kya karein
wo zikra bhi nahi karta, hum qurbaani ka kya karein
koi sanam ki khairiyat ki khabar hi de de,
hum be-fazool ki badnami ka kya karein
bujhe deepak ko hi noor-e-aftab keh denge
kore kaagaz ko hum kismat ki kitab keh denge
to kya hua jo aaina humse rooth gaya,
hum toote kaanch ko bhi poonam ka chand keh denge
mere falaq pe fanoos ban ke chhaya to kar
khayalat-e-farsh par yun hi kabhi aaya to kar
muddat hui teri mashroofiyat ko mashhoor hue,
khwabon me hi sahi, mehez do pal kabhi zaaya to kar
khushq labb tishnagi par aamada to hain
door rehne ka hi sahi, magar waada to hai
udhed-bun me yun hi kabhi ye baat uthi,
ishq poora na sahi, ishq aadha to hai
A poem by Deepak Kripal
Posted on
Wednesday, 4 January 2017
You know you have found love, when you cannot find your way back.
- Robert Brault
Read More
droplets
of hope,
languished,
stoked
numb and
narrow,
soaked in
sorrow
slippery
cheeks,
crestfallen
creeks
dire
straits,
deadly
debates
residue of
life,
poisonous
fates
once my
partner,
since,
closed gates!
Oh God!
predicament
grave,
souls
to save
what
do i do?
bugaboo..
hullabaloo..
what
do i have?
devastated
desire,
a world on
fire,
my
partner’s ire!
delirious
rave,
yes, i
did misbehave!
sitting
on the window,
a hurricane encompassed
my wrists are frozen,
i just breathe on the glass
put me on
yoke,
blow me in
smoke
better send
me to hallow
without
her, i am but shallow
victory is
in purse
i have
nobody to defeat
silence is
my curse,
i have no
song to repeat
God, give
me light
my
partner, my sight
yes, i
have low attention span
but i am
still her man
my moon
has sunk,
this
darkness is drunk
frail
is my flame,
but my
love has spunk
pining for
you, my love
i go down and above
no more a human,
i am but a
mournful dove
every
breath i crop
oh, you
have been missed
every tear
i drop
oh, you
have been kissed
if ever,
there is god,
if ever,
his glory
for all
that, and more
my love, i
am sorry!
light a
candle in my heart,
and burn
every other wish
give me
that dream we made,
that
flicker in the iris!
You know you have found love, when you cannot find your way back.
- Robert Brault
Posted on
Thursday, 8 September 2016
Read More
sameta kayi barisho ko yun to maine,
har subah fir bhi talkh chheenton ke sath aayi..
chaadrein jo odhi kabhi ghaav dhakne ko,
patjhad lapete sard salwaton ki shaakh aayi..
ab jab kismat ko kose hue bhi barso hue,
kayi saawan gaye mere sapno ko tarse hue..
leke aayi wo haathon me deepak-diye,
teekhe naino me chhaanv si palkein siye..
main aaungi aur ye samaa badal dungi,
muskuraungi aur dil thama badal dungi..
jis lakeer par likha tera mukkaddar hai,
mita dungi use har baddua badal dungi..
wo kehti gayi par humne kuch suna nahi,
dhaago me uljhe rahe ikk sapna bhi buna nahi..
sadiyo se maun waqt ki ye sakht aazmaish thi,
ghadi ke kaanto ko bhi ab kisi qatl ki khwahish thi..
jamaal-e-yaar wo aisi majaal kar gaya,
daba ke hont wo mushqil sawaal kar gaya..
muflis se mohabbat ka sabab jo pucha,
wo chhookar mujhe dus aur bawaal kar gaya..
ishaaron me hi likh gaya wo kitabein kayi,
padhne laga to lag gayi raatein kayi..
mere aansu mere ranjo ko bedakhal kar dein,
kar gaya kuch aisi wo khurafaatein kayi..
gila na lau se hai na shaatir lakeer se,
na dushman ki dua, na kaafir fakeer se..
ke kale rang se keh do, kare kuch aur koshish,
hain hum gulfaam ke ghayal gulaabi teer se..
subah ki aab, shaam ka til hai wo,
noor-e-aaftaab, peer ka dil hai wo..
kasam khanjar ki seene me pada hai jo abhi tak,
bada pyara bada masoom sa qaatil hai wo..
sanam ki jo mile qurbat, jagah benaam ho,
faqat wo ho safar lamba, bina anjaam ho..
ke kuch keh de khuda aisi bhi kahani meri,
seene ho mera, aur unki baahein badgumaan ho..
jo aao to bhar jana daraarein meri,
jo jao to le jaana nigaahein meri..
jama do barf sa ban jao tum paani mera,
ke banjar khet hai aur ret si aahein meri..
ke lau jala kar hi wo bulbula bujha hoga,
use kho kar hi maalik ghumshuda bana hoga..
yuhi nahi hua hoga kaamil karishma,
mere yaar ko bana kar hi rab khuda bana hoga..
At the touch of love, everyone becomes a poet.
- Plato
Posted on
Saturday, 11 June 2016
tune pee bhi liya,
hoton pe pyaas bani rahi,
main paani gunguna sa hu..
aansu kayi guzre tere gaalo se,
unn kaaton me tu gulab bani rahi,
main kissa kal hua sa hu..
dete rahe tum humko hi galiya,
aankhein fir bhi udaas bani rahi,
main geet ansuna sa hu..
yaadon pe pehre tune lakh diye,
Read More
tujhe chhuu bhi liya,
fir bhi tu bheegi nahi,
main badal manchala sa hu..
main badal manchala sa hu..
tune pee bhi liya,
hoton pe pyaas bani rahi,
main paani gunguna sa hu..
aansu kayi guzre tere gaalo se,
unn kaaton me tu gulab bani rahi,
main kissa kal hua sa hu..
dete rahe tum humko hi galiya,
aankhein fir bhi udaas bani rahi,
main geet ansuna sa hu..
yaadon pe pehre tune lakh diye,
meri shararat ki wo shaam bani rahi,
main shayar badnuma sa hu..
yun to arsaa hua tumhe bole hue,
baatein fir bhi tamaam bani rahi,
main patthar hu shila sa hu..
main jaake bhi tujh mein aata raha,
meri aag tere seene mein bani rahi,
main deepak diljala sa hu..
chhod ke aaye they chale jao keh ke,
main shayar badnuma sa hu..
yun to arsaa hua tumhe bole hue,
baatein fir bhi tamaam bani rahi,
main patthar hu shila sa hu..
main jaake bhi tujh mein aata raha,
meri aag tere seene mein bani rahi,
main deepak diljala sa hu..
chhod ke aaye they chale jao keh ke,
teri dehleez pe un sapno ki laash bani rahi,
main dushman ki dua sa hu..
main dushman ki dua sa hu..
Absence makes the heart grow fonder.
- Unknown
Posted on
Wednesday, 13 April 2016
Read More
ek baat rehne de is dil mein..
ek yaad rehne de is dil mein..
khud ko to kab ka hawale kar chuke tere,
ek toota khwaab rehne de is dil mein..
mar to kab ke chuke hain hum is duniya ke liye,
bas khud ke liye ek lamha rehne de is dil mein..
toot chuka hu kab ka thokar kha kha kar,
ek dhadkan khud ke liye rehne de is dil mein..
ek adhuri saans rehne de is dil mein..
A poem by Sourabh Panwar























