'google658fd05d77029796.html' Tanhaai... | The Original Poetry



raat hai, andhera hai, tanhaai bhi hai
iss dil me dard hai, ruswayi bhi hai
door se jugnu hi dikha de sathi,
jo main keh sakun, tujh mein rehnumayi bhi hai

tum aayenge keh ke humse dur chalte gaye 
hum intezaar ki lau jalaakar usme hi jalte gaye 
kabhi ik aawaz hi laga de sathi 
jo main keh sakun, tujhe daanaai bhi hai

tere jaane ke baad umra kuch dhal si gayi hai 

hum zinda to hain par jaan nikal si gayi hai 
koi jhootha wada hi jata de sathi,
jo main keh sakun, tujh me sachchai bhi hai

har shaam ke saath hum dhalte to hain par nikalte nahin

sard mausam me ashq jamte to hain par phigalte nahin 
ke mere ashq hi pighla de saathi,
jo main keh sakun, tujh me garmaayi bhi hai 

waqt ki dhoop mein rang kuch jal se gaye hain
ke gazalon ke bol bhi badal se gaye hain
koi dilkash khwaab hi dikha de sathi,
jo main keh sakun, tujh me rang hai, raanaai bhi hai

mere falaq me baadal ki ek boond bhi nahi
teri jhalak ki ab koi ummeed bhi nahi
do ghoont sharaab hi pila de sathi,
jo main keh sakun, tujh me thodi si khudai bhi hai

Categories: , ,

Leave a Reply

    Attribution

    Total Pageviews