'google658fd05d77029796.html' Kissa Ek Kali Ka | The Original Poetry






kal raat ek khwab dekha
soch ke daayron se aage nikle
aur aage jaake maahtaab dekha
kabhi baareek galiyon ki kashmakash ko,
kabhi lehlahaati kaliyon ki muskaan ko dekha

galiyan meri aahat se kuch pareshan thi
par kaliyon me se ek kali se meri halki si pehchaan thi
maine puchha kaun ho tum
kya maine tumhein kahin dekha hai

wo kuch jhoomi,
kuch balkhayi
aahista se wo natkhat,
apne asli roop mein aayi

kaali zulfon ka baadal,
kaandhe pe thehra tha
pari sa chehra,
rang sunehra tha

usne mujhe dekha,
aur masti mein kuch gaane lagi
nazrein to uspe thehri thi,
par meri saans ab aane jaane lagi

wo bebaak thi
gustaakh thi
ik pal meri koi nahi
agle pal nigehbaan thi
duniya ke lehzon se farak thi wo
andheri galiyon mein deepak ki jhalak thi wo

mere paas aake wo mujhse lipat gayi
laga koi behti nadi aake mujh mein simat gayi
uske baahon ke dhaagon se khud ko see gaya tha
us ek pal mein main sadiyaan jee gaya tha

main hairan tha
pareshaan tha
ke kaun hai ye,
jo iss tarah chhu raha hai
chehra to anjaan hai
kyun apna lag har soon raha hai

pehle wo meri bekarari pe muskayi
phir boli meri bebaaki ko koi ilzaam na dena
apna na samajh pao to na samjho
par iss apnepan ko kisi rishte ka naam na dena

dhadakte dil ki daraarein kuch aur badhne lagi
dil ki har baat wo meri saanso mein padhne lagi
ab humse sabar kahan hona tha
kho chuka tha jo kuch bhi khona tha
maine palkon badhaayi,
uske gaalon ko chhua
kashti toofan mein aayi,
aur hoti rahi dhuaan

kahaani itni hi hoti to munasib hota
na meri aankh hi dukhti, na dil hi rota

isse pehle ki hum sarhadein tod paate
palkein jhapki aur hum karwatein badal gaye
salwatein hi salwatein baaki thi ab mere paas
aankhein khuli aur wo meri baahon se pighal gaye

gila nahin,
gila karein bhi to kaise
raat ka kuch to hum pe ehsaan tha
bewafa ise kahein bhi to kaise

ye bhi nahi kehte ke ye savere ka zulm tha
kyun ki raat guzregi humein iss baat ka bhi ilm tha
par jadu hi kuch aisa tha uski baat mein
ke ab har din guzrega bus uski raat mein
us bebaak kali ko lekar phir bahaar aayegi
phir din guzrega, aur phir raat aayegi


Categories:

14 Responses so far.

  1. This poem is based on true incidences, of course if you consider dreams as true.. ;)

    I hope you guys enjoy it. :)

  2. Oh God this is damn Good Deepak.! :)
    Loved each line of this wonderful composition.
    Somehow could not control my :)Smile:) while reading this as you woven the words into a magical poem that narrates such a stupendous event of your life. It feels as if they are based on true incidences but not a dream, and in my opinion I do not consider dreams as true incidences... ha ha!

    Every line has a story to tell, I Guess.
    Good work, keep going and keep writing such masterpiece :)

  3. rayofhope says:

    great lines...har ek shabd dil ko choo jata hai.. :)

  4. Vandana says:

    this is just lovely!! :) i loved it!

  5. jahid says:

    Nice one Deepak!

  6. "isse pehle ki hum sarhadein tod paate
    palkein jhapki aur hum karwatein badal gaye
    salwatein hi salwatein baaki thi ab mere paas
    aankhein khuli aur wo meri baahon se pighal gaye


    Huzoor, yeh padh ke to main bhi pighal gaya!

  7. nice poetry true to life

  8. umda kavita sachche sapno ki
    enjoyed reading it

  9. Anonymous says:

    aur .....gila karein bhi to kisese !! amazing poem !!

  10. Unknown says:

    "mere paas aake wo mujhse lipat gayi
    laga koi behti nadi aake mujh mein simat gayi
    uske baahon ke dhaagon se khud ko see gaya tha
    us ek pal mein main sadiyaan jee gaya tha"

    Simply awesome lines!! Brilliant! Loved it :)

    Writing on the go

  11. कृपया हिंदी की रचना को हिंदी में लिखने का प्रयास करें | सुन्दर कविता | आभार

    कभी यहाँ भी पधारें और लेखन भाने पर अनुसरण अथवा टिपण्णी के रूप में स्नेह प्रकट करने की कृपा करें |
    Tamasha-E-Zindagi
    Tamashaezindagi FB Page

  12. sahe says:

    Adaa aap ki dil ko chhu gayi..
    Naayab si wo kali kuch jaadu sa kar gayi..
    Yun to hum khwaabon ke pichey daurtey nahi..
    Aap ka khwaab haqiqat ko bhula gayi..

    Take a bow Deepak sahab.. good good thread of imagination.

  13. Unknown says:

    extremely...fantabulous...so nyc

  14. Unknown says:

    expressing how it was in words would do injustice to the feelings flowing through it....
    This was my first read of urs and i thoroughly loved it...


    Read me on:ajiteja.blogspot.in

Leave a Reply

    Attribution

    Total Pageviews